Bimaar Ki Iyadat Ki Fazeelate || Bimar || Baag E Jannat

Bimaar Ki Iyadat Ki Fazeelate || Bimar || Baag E Jannat 






Huzoor Akram S.A.W Ne Irshaad Farmaya:

Jab Tum Bimaar Ke Paas Jao To Usse Kaho Ke Wo Tumhare Liye Dua Kare Q Ke Iss Ki Dua Farishton Ki Dua Ki Tarha Qubool Hoti Hai. 

(Hazrat Umar Bin Khattab Razi Allah Taala Anhu, Ibne Maaja)



Huzoor Akram S.A.W Ne Irshaad Farmaya:

Jo Shakhs Kisi Bimaar Ki Iyadat Ke Liye Ya Apne Musalmaan Bhai Ki Mulaqaat Ke Liye Jata Hai  To Ek Farishta Pukaar Kr Kehta Hai Tum Barkat Wale Ho Tumhara Chalna Ba Barkat Hai Aur Tumne Jannat Me Thikaana Bana Liya.

(Tirmizi )


Hazrat Sobaan (Razi Allah Taala Anhu) Se Riwayat Hai Ke Hazrat Mohammad S.A.W Ne Irshaad Farmaya.

"Ke Jab Koi Musalmaan Apne Kisi Musalmaan Bhai Ki Bimaar Pursi Karne Jata Hai To Wo Musalsil jannat Ke Baag Me Rehta Hai"

(Sahi Muslim,Tirmizi)


Hazrat Abu Bakar Siddiq (Razi Allah Taala Anhu) Se Riwaayat Hai Ke Huzoor Paak S.A.W Ne Irshaad Farmaya:

Musa (Alaihi-s-salaam) Ne Allah Taala Se Arz Ki:Mareez Ki Iyaadat Karne Wale Ko Kya Ajar Milega? 

To Allah Taala Ne Irshaad Farmaya:

"Iskeliye 2 Farishte Muqarrar Kiye Jayenge Jo Qabar Me  Har Roz Uski Iyaadat Krege Hattake Qyamat Aa Jaye.


Farmane Mustafa S.A.W :

Mareezo Ki Iyaadat Kiya Karo Aur Janaazo Me Shirkat Kiya Karo Ye Tumhe Aakhirat Ki Yaad Dilaate Rahenge.


Rasool Allah S.A.W Ne Farmaya:

Musalmano! Jab Tum Kisi Bimaar Ke Paas Jao To Usko Der Tak Zinda Rehne Ki Khush khabri Do Q Ke Tumhare Kehne Se Kisi Insaan Ki Zindagi  Daraaz Nhi Ho Sakti Mager Bimaar Ki Tabiyat Khush Ho Jayengi.

(Tirmizi)


Hazrat Ali (Razi Allah Taala Anhu) Farmate Hai Ke Mene  Rasool Allah S.A.W Ko Ye Irshaad Farmate Hue Suna:

Jo Musalmaan Kisi Musalmaan Ki Subh Ko Iyaadat Karta Hai To Shaam Tak (70 Hazaar) Farishte Iskeliye Dua Karte Rehte Hai.Aur Jo Shaam Ko Iyaadat Karta Hai To Subh Tak (70 Hazaar) Farishte Iskeliye Dua Karte Rehte Hai Aur Ise Jannat Me Ek Baag Mil Jata Hai.

(Tirmizi)


HashTag For This Post 

#BimaarKiIyaadat #Bimar #Fazilat #Zaurat #Benifit #Fayda #Sawab #Hazrat_Ali #Mohommad #Hadis #Bayan #thought #trueline #Islam #IslamicHadis #IslamicThought #Bayan #BimarKoDekhneKaSawab #Bimar_Se_Milne_ka_sawab #Bimari #islam




Post a Comment

Jazk Allah For this help

Previous Post Next Post