Roze Ki Halat Me Kya Kar Sakte Hai Aur Kya Nahi ? || Sawal Jawab || Q & A Session || Baag E Jannat
Question & Answer Session
Q.1) Kya Roze Ki Halat Me Naha Sakte Hai ?
A.1) Han Naha Sakte Hai
Q.2) Kya Roze Ki Halat Me Nakhun Kat Sakte Hai ?
A.2) Han Roze Ki Halat Me Nakhun Kat Sakte Hai
Q.3) Kya Roze Ki Halat Me Tel Laga Sakte Hai ?
A.3) Han Tel Laga Sakte Hai Aur Malish Bhi Kar Sakte Hai Is Se Roze Me Koi Farak Nahi Hoga
Q.4) Kya Roze Me Surma Laga Sakte Hai ?
A.4) Han Roze Ki Halat Me Surma Laga Sakte Hai
Q.5) Kya Roze Ki Halat Brush Kar Sakte Hai ?
A.5) Nahi Roze Ki Halat Me Brush Na Kare Q Ke Pest Ke Kuch Hisse Muh Me Jane Ka Khatrah Hai
Q.6) Kya Roze Ki Halat Me Miswak Kar Sakte Hai ?
A.6) Han Bilkul Jayaz Hai Roze Ki Halat Me Miswak Aur Iska Sawab Bhi Hai
Q.7) Kya Roze Ki Halat Me Humbistari Kar Sakte Hai ?
A.7) Nahi Roze Ki Halat Me In Chizo Ki Manai Hai
Q.8) Kya Roze Ki Halat Me Biwi Ko Kiss Kar Sakte Hai ?
A.8) Jayaz Hai Lekin Agar Pani Na Aay (Behtar Hai Ke Koi Roze Me Na Kare)
Q.9) Kya Periods (mc) Me Roze Rakh Sakte Hai ?
A.9) Nahi Periods Ki Halat Me Roze Mana Hai
Q.10) Kya Periods Me Quran Padh Sakte Hai ?
A.10) Nahi Quran Padhna Mana Hai
Q.11) Kya Periods Me Roza Maaf Hai ?
A.11) Nahi Periods Me Roza Maaf Nahi Hai Bad Me Kaza Rakhna Hai (Bas Kaza Ka Gunha Nahi Milega)
Q.12) Kya Roze Ki Halat Me Khushbu (Itar) Laga Sakte Hai ?
A.12) Han Laga Sakte Hai Bas Itar Body Perfume Mana Hai Q Ki Alcohol Ka Hona
Q.13) Kya Periods Me Quran Ki Jo Ayat Yad Hai Wo Padh Sakte Hai ?
A.13) Han Padh Sakte Hai Lekin Siraf Ayate Pura Surah Mana Hai
Q.14) Kya Periods Me Darud Sharif Padh Sakte Hai ?
A.14) Han Darud Sharif Padh Sakte Hai
Q.15) Roze mai muh se ya daant
ya jaws se khoon ayee toh
kya roza toot jata hai?
A.15) Is hawale se 2 points yaad rakhen:
1) Agr khoon thook(sputum) se zyada hai ya khoon
thuk ke barabar hai aur banda halq mai mehsoos kar
raha hai ki ye khoon hai,esi
surat mai jb use halaq ke niche utaar diya hai, toh
rooza toot jayega,aur agr khoon km hai thuk zyada
hai eesi surat mai roza nahi tootega...
2) yaad rakhiye ki agr muh se khoon nikla aur halaq
ke niche nahi utara usse thuk diya,toh chahe khoon
daanto wagera se zyada nikle ya km,roza nahi
tootega agr bahar thuk diya toh....
Q.16) Kya Roze Ki Halat Me Blood Test Kar Sakte Hai ?
A.16) Han Kar Sakte Hai
Q.17) Kya Roze Ki Halat Me Injection Laga Sakte Hai ?
A.17) Han Laga Sakte Hai Lekin Us Injection Me Protein Ke Vitamin Na Ho
Q.18) Kya Roze Ki Halat Me Eyes Drops Dal Sakte Hai ?
A.18) Nahi Roze Ki Halat Me Nahi
Q.19) Kaan Me Katra Tapkana (Jab Ki Kaan Ka Parda Na Fata Ho) ?
A.19) Roza Nahi Tutega Kar Sakte Hai
Q.20) Kya Roze Ki Halat Me Night Fall (Ehtelam) Ho Jay To Kya Roza Tut Jayga ?
A.20) Nahi Roza Nahi Tutega Bas Khud Se Kuch Kiya Na Ho
Q.21) Kya Roze Ki Halat Me Hinama Kar Sakte Hai ?
A.21) Han Kar Sakte Hai
Q.22) Roze Ki Halat Me Ulti Ho Jay To Kya Roza Tut Jayga ?
A.22) Agar Muh Bhar Ke Ulti Hui Ho Aur Janbuj Ke Hui Ho Toh Roza Tut Jayga
Q.23) Agar Khud Ba Khud Ulti Hui Ho To Kya Roza Tut Jayga ?
A.23) Nahi Tutega
Q.24) Kya Roze Ki Halat Me Inhaler Use Kar Sakte Hai ?
A.24) Nahi Is Se Roza Tut Jayga
Q.25) Roze Ki Halat Me Mastrubation Kare To Roza Tut Jayga ?
A.25) Han Is Se Roza Bhi Tut Jayga Aur Ye Chiz Mana Hai (Aam Dono Me Bhi Ye Chizo Se Bache)
Q.26) Kya Smoking Se Roza Tut Jayga ?
A.26) Han Tut Jayga
Q.27) Roze Ki Halat Me Naak Me Dawa Dalne Se Kha Roza Tut Jayga ?
Q.27) Han Roza Tut Jayga
Agar Kisi Ko Kuch Sawal Ho To Puch Sakte Hai
Website Me Kuch Problem Hone Ke Waja Se Comments Box Band hai to hume Instagram pe msg kar ke puch skte hai
Instagram ID : 1BaagEJannat
Instagram ID : 1islamicknowledge.blog